Thursday, 22 September 2011

Ek raaz...


Ek raaz tha jisse karte they hum pyaar...
Issi raaz ne banayi humari zindagi badi namkeen...
Chahte the hum ban jaye uske dildar...
Dekha na tha par tha yekin ki vo thi badi haseen...

Khade rehete the hum chaurahe par khate hue kabab...
Vo apne khubsurat se mukde ko nakab mein odhe guzarti thi...
Iss khwab mein rehete they ki kabhi to hoga ye chehera benakab...
Nesto-na-bud ho jata tha yeh dil jab andar ki baat andar hi reh jati thi...

Tha unke abbu ka baniye ka dukan...
Ati thi vo vaha har din shyam jab diye jalte the...
Hota tha yeh thik uss jagah jaha tha humara makan...
Socha kabhi to chehera ayye roshni mein par khwab to khwab hi reh jate the...

Dil mein ek muskurahat hoti thi...
Aur vo khil uthti thi jab vo samne se guzarti thi...
Aur vo mehek maan mein aisi bas jati thi...
Ki dil to kya humari juban bhi chir deti thi...

Akhir aya vo pal jab uski doli uthne ka waqt aa chala...
Puri umar bas khwab dekhta raha aur intezar hi kar paya..
Ye ashiq puri umar iss raaz ki raah dekhta raha...
Jabki vo raaz hi kisi aur ka ho gaya...

Regards,
Abhijeet (Gladi)
·         Current Music: U still the one i love - shania twain
·         Current Mood: Still Waiting 

No comments:

Post a Comment